Pages

Monday 16 September 2013

Barf-2 A Nazm by Sunil Gahlot



kuch jaise jam sa gaya hai bheetar..
na jane ummeden hain ya sapne....!
koi to aag laga do..
ye manzar zara pighla do...!!

hai andhere ghan ke
chuup ke baithe hain kone me man ke
ye mujhse kuch sawal karte hain....jiase meri zindgi badhaal karte hain..
jaise apne hone ka malal karte hain...
hairaniyat in sawalo par nahin hai mujhe..hairaniyat in khayalo par nahin hai mujhe...
bechainiyon ko thahrav kaise laun....
in sawalo ka jabab kahan se laun...
jo kuch samjha sake vo kitab kahan se laun...
phir ek din achanak aanko se kajal ban girte hain...
ye bhi aawara hain..mujhe chhod kar ghoomte phirte hain...
koi mera andhere dila do..
mere man ka savera dila do...
koi to aag laga do...
ye manzar zara pighla do...



kuch ummedon ke samundar the...
jo kab thahre mere man ke andar the...
lahren inki badi madmast thin...
karti atkhelian waqt be waqt thin...
par sahar se pahle ho gaya savera...
zindgi ne bana diya koi baandh lutera...
ab ye kabhi bhi rone lagti hain...jaise andhero ko god me sone lagti hain...
sapno ke fare fira do...
koi ye baand gira do...
koi to aag laga do..
ye manzar zara pighla do...



teri yaad...aur teri yadoo ki tadap...
jaise mujhe saans nahi aati...
har pal tujhe dhoondhta hun...
aur tum kahte ho tumhari yaad nahin aati,,
ab to jeena mushkil hai....tujhe bhulana mushkil hai...
tu aake chhin le saanse mujhse ya maang le zindgi meri..
tujhpe koi ilzaam na aaye..
bas yahi hogi khushi meri...
sanjo ke rakha hai..har lamha tere saath guzara...
dhhere dheere jalna..ab yahi hai jeene ka sahara...
koi vo yaad dila do...
mujhko mujhi se chhuda do...
koi to aag laga do..
ye manzar zara pighla do...

Saturday 10 August 2013

Barf -1

kuch jaise jam sa gaya hai bheetar... 
na jane ummeden hain ya sapne...!
koi to aag laga do...
ye manzar zara pighla do...!! 

kuch khidkiyan hai kahin... 
jo khulti hai badi mushkil se...
shayad inhone sab kuch bohot kareeb se dekha hoga...
koshish karun kholne ki to bohot aawaz karti hai...
shayad kuch dard hota hoga... 
aandiyon me apne pankh khatkhati hain...
darti hain in hawaon ke shor se...saham sa jati hain...
koi ye kiwad laga do..! 
mera sukooon lauta do...!! 
koi to aag laga do...!
ye manzar zara pighla do...!! 

sapne kuch kache pakke se the...
kuch dhundhle dhundhle se... 
kuch tere mere the aur kuch mere tere se...
pata nahi kun inka rang kuch badal gaya hai... 
kahin inko kuch to ho gaya hai... 
ujiyare jaisa gora tan tha...
youvan to jaise charam par tha...
haalat kuch beemar se lagte hain...
koi to ilaz kara do...!
koi to ilaz kara do...!!
koi to aag laga do... !
ye manzar zara pighla do...!! 

is barf ki barish ne bada nuksaan kia hai mera...
kuch ek barso se jeena dushwar kia hai mera... 
ek imarat banani thi mujhe zindgi ki...par ab vahan kaam rooka hua sa hai...
armano ne bataya ke saaman khatam hua sa hai...
bola hai k abhi bohot yaden lagengi..Ab mujhse naye yaaden nahin banti...
kuch lamho ka udhar bandobast karwa do...
kuch yaden dila do..!
mera makan bana do..!! 
koi to aag laga do...!
ye manzar zara pighla do...!!